
Suna hai sher ka jab pait bhar jaye
to woh hamla nahee karta
Darakhton ki ghani chhaon mein ja kar let jata hai
Hawa kay taiz jhonke jab darakhton ko hilate hain
To maina apne bache chhor kar
Kawway kay andon ko paron mein tham leti hai
Suna hai ghonsle se koi bacha gir paray to
sara jungle jaag jata hai
Suan hai jab kisis naddi kay pani mein
baye kay ghonsle ka gandami saaya larazta hai
To naddi ki rupehli machhlyaan usko padosi maan leti hain
Koi tufan aa jaye koi pull toot jaye toh
Kisis lakri kay takhtay par
Gulehri, saanp, bakri aur cheetah sath hotay hain
Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai
Khuda wanda, jaleel o mohtbar
Daana o beena, munsif o akbar
Mere is shahr mein
Ab janglon ka he koi qanoon nafiz kar day








Recent Comments